Dussehra
Tareekhen
Iski kahaani
Dussehra ko Vijayadashami bhi kehte hain — ye buraai par acchai ki jeet ka din hai.
Kahaani Ramayan se aati hai. Raavan ne Mata Sita ka haran kar liya tha. Bhagwan Ram ne Lanka par chadhaai ki aur lambe yudh ke baad Dashami tithi ko Raavan ka vadh kar diya. Isi din Navratri bhi khatam hoti hai, kyunki yehi din Maa Durga ne Mahishasur ka bhi vadh kiya tha.
Iss din jagah-jagah Ram-Leela ke mele lagte hain, aur shaam ko Raavan, Kumbhkaran aur Meghnad ke bade-bade putle banakar unhe jalaya jaata hai — logon ki bhaari bheed ye nazara dekhne aati hai.
Dussehra ke din naye kaam shuru karna, shastra pooja karna, aur ek-doosre ko mithai khilana shubh maana jaata hai. Ye din yaad dilaata hai ki chaahe buraai kitni bhi takatwar kyun na ho, jeet aakhir mein acchai ki hi hoti hai.