Navratri
Tareekhen
Iski kahaani
Navratri Maa Durga ke naun roopon ki pooja ka tyohar hai — naun din, naun shakti.
Kahaani hai ki Mahishasur naam ka rakshas itna takatwar ho gaya tha ki devta bhi use hara nahi paaye. Tab sabhi devta apni-apni shakti jodkar Maa Durga ko prakat kiya. Naun din tak Maa aur Mahishasur ke beech ghamasan yudh chala, aur Dashami ke din Maa Durga ne rakshas ka vadh kar diya — isi jeet ki yaad mein Navratri manaya jaata hai.
Har din Maa ka ek alag roop pooja jaata hai — Shailputri se shuru hokar Siddhidatri tak. Pehle din Ghatasthapana hoti hai, kalash sajaya jaata hai, aur kai log naun din ka vrat rakhte hain.
Raat ko Garba-Dandiya ki dhoom rehti hai, bachhe naye kapde pehankar khelte hain, aur mandiron mein Maa ki sundar jhaanki sajti hai. Ashtami-Navami ke din kanya pooja hoti hai — chhoti betiyon ko Maa ka roop maankar unke paanv pooje jaate hain, unhe khaana khilaya jaata hai aur uphaar diye jaate hain.